Ailya-Ali Naqvi
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Tajdeed he m0haBbAt

2 posters

Go down

Tajdeed he m0haBbAt Empty sr khan

Post by SR Khan Fri Apr 11, 2008 6:55 pm

bilkul karna chahiye mohabbat ko renovate BUT
saala koi mohabbat kare to na koi karat hi nahi Sad
tell me Muskan Kazmi Question
SR Khan
SR Khan

Number of posts : 100
Age : 40
Location : Karachi
Registration date : 2008-04-01

Back to top Go down

Tajdeed he m0haBbAt Empty Tajdeed he m0haBbAt

Post by muskan kazmi Fri Apr 11, 2008 12:01 am

Assalam o alaikum

aaj me is forum me ek topic shuru kar rahi hoo pehli bar hope aap sab comments denge

to janab topic kuch yun hai ke jab hum kisi se muhabbat karte hain chahe wo kisi surat mein ho chahe wo kisi se bhi ho kisi anjan shaks se ya aapke humsafer se kuch wakt ke baad yani 2-3-4 saalo ke baad wo aapke liye mamool ban jaty hai ek routine us mein shiddat khatum to nahi kam ho jaty hai uske aap adi ho jatey hain wahi lagao wahi nisar hona sab apni jagh hota hi dikhawa nahi hota but iske hum itne aadi ho jatey hain ke ye humara hakk hai samjh ke wasool karte hain but phir bhi lagta hai ab wo humse pyar nahi karta ya karty kyunki wo pyar to hai utna hi but ab humare ko uski adat ho gayi hai insan ki fitrat hai aur aur aur wo us aur ko kabhi nahi chodta jab us pyar ki adat ho jaye to muhabbat ki tajdeed ka wakt aa jata hai shayd humara humsafar hamara mehboob humse wo muhabbat
AUR chahata hai ab us mein koi naya pan koi aisee cheez jo uske liye khushgawar change ho apne mamool se hatt ke kuch AUR zayada muhabbat
kuch aur lagao koi naya andaz koi nayi shuruat jo unke is mamool ko phir se ussi chaht ki shiddat mein badal de unke dil ke kisi kone mein chupe wo jazbat jiski garmi ab pehle si nahi rahi wo wapes usi tarah bedar ho jaye jaise shuru mein thae jaise bohut din barish na hone ki surat sara mahual ajeeb khushk sa ho jata hai per ek barish sab kuch kaise dho ke saaf shaffaf kar dety hain us mein sari galatefhmiyan saree misunderstandings sab dhul jaien aur ye pyar phir se naya ho jaye sawal ye hai ke kya wakai muhabbat ko tajdeed ki zaroorat hai ya muhabbat kuch ho jaye hamesha waisee hi rahegy usko kisi tajdeed ki zaroorat nahi

main manty hoo muhabbat rehty hai hamesha rahegy but uske liye usko tym tym se renovation ki zarurat hoty hain Tajdeed he m0haBbAt Biggrin

ab aap apne comments dijiye app kya sochtey hain muhabbat ko tajdeed ki zaroorat hai kya?ya nahi aur nahi to kyun nahi ?

muskan kazmi

Number of posts : 18
Registration date : 2008-04-08

Back to top Go down

Back to top


 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum