Ailya-Ali Naqvi
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Ab Ghar Lout Jana Hai

Go down

Ab Ghar Lout Jana Hai Empty Ab Ghar Lout Jana Hai

Post by SR Khan Thu Apr 10, 2008 7:31 pm



yeh sirf aik koshish hai i know I'm not gud @ poetry anyways hope u u/stand what I'm trying 2 say !!!


Buhut ho gayi doori ab
ab ghar laut jana hai
maa ki gaud
behan ka pyar
ab tu yaad ana hai
buhut ho gayi doori ab
ab ghar laut jana hai

pardes k rang ab
na lagain aur suhanay
ab tu gaon ki yaad ani hai
ab apni mitti suhani hai
buhut ho gayi doori ab
ab ghar laut jana hai

woh sehri mein
behan bhaiyun ki athkeliyan
woh aftari ki azan ka intezar
woh eid ka milan
woh eidi ka dena
ab tu yaad ana hai
buhut ho gayi doori ab
ab ghar laut jana hai

woh basant peh yaarun k sang
urti patangun peh kaanthi daalna
ab tu yaad ana hai

woh maa k hath ki khameer roti b
ab tu pizza lagti hai
ab ji nahi lagta kuch khanay mein
woh maa ka pouchna kya khayega beta
ab tu yaad ana hai

pardes ki maimein b
ab kuch pheeki pheeki lagti hain
woh muhallay ki saheliyun ko
chup chup k dekhna
ab tu yaad ana hai
buhut ho gayi doori ab
ab ghar laut jana hai


__________________
Aj dil afsurda hai aur ankhein nam
Zuban dool jati hai, ansoo hain lab
Na jeenay ki khwaish hai na maut ka khoof
Na koi manzil hai na kuch panay ki chah
Bikhar gayi hai zindagi chot raha ahbaab ka sath
Ab koi tu tham lo is dil ki kirchiyun ko
Azmaish ki is ghari ko ab taal de mere maula
Ansoo b ankhun mein na rahay ab mere maula



SHAH'zzz
SR Khan
SR Khan

Number of posts : 100
Age : 40
Location : Karachi
Registration date : 2008-04-01

Back to top Go down

Back to top


 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum